be-watan hun watan mein aakar bhi jal raha hun chaman mein aakar bhi meri hasti ka puchhte kya ho jaan be-jaan hai tan mein aakar bhi pai na-qadri-e-adab aksar hum ne bazm-e-sukhan mein aakar bhi rakkha tir-e-sitam meri jaanib us ne diwana-pan mein aakar bhi bad-numai na chhup saki dil ki khushnuma pairahan mein aakar bhi be-sukun hi rahe sada ki tarah hum teri anjuman mein aakar bhi haif pai nahin aman 'hatif' shahr walon ne ban mein aakar bhi