dil ko patthar bana ke dekhunga

dil ko patthar bana ke dekhunga
main bhi tujh ko bhula ke dekhunga

raste ka to kar lun andaza
su-e-manzil bhi ja ke dekhunga

khud bujha dunga dip main jab bhi
taur badle hawa ke dekhunga

kis liye log hain fida us par
us ki mahfil mein ja ke dekhunga

main khushi ki taraf bhi baz auqat
gham se nazren chura ke dekhunga

chahe kho jae nur aankhon ka
us ko nazren jama ke dekhunga

ba-wafa hi sahi magar 'hatif'
main use aazma ke dekhunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close