be-yaqini ka har ek samt asar jagta hai aisi wahshat hai ki diwar mein dar jagta hai sham ko khulte hain dar aur kisi duniya ke raat ko fikr ka be-ant safar jagta hai jis ko chahen ye use apna bana sakti hain teri aaankhon ke samundar mein hunar jagta hai ho na jae kahin mismar ye is barish mein ghar ki buniyaad mein khamosh khandar jagta hai ek naya hausla deti hai shikasta-pai panw zakhmi hon to phir azm-e-safar jagta hai tujh ko darkar hai ek nind ki goli 'nasir' jism sota hai tera zehn magar jagta hai