shab kuchh aise chali pawan khali kar gai ruh se badan khali ladkiyan ganw se sidhaar gain hirniyon se hue khutan khali khak mein mil gae hain sher jawan maut se bhar gae hain ran khali saneha is se badh ke kya hoga yar baithe hain anjuman khali hum agar hain to kyun rahen hum se ye zamin aur ye zaman khali ab wo mah-e-munir hai 'nasir' thi jo pahle-pahal kiran khali