be-yaqini ka talluq bhi yaqin se nikla mera rishta wahi aakhir ko zamin se nikla mujh ko pahchan tu ai waqt main wo hun jo faqat ek ghalati ke liye arsh-e-barin se nikla ek mere aankh jhapakne ki zara der thi bas wo qarib aata hua dur kahin se nikla ediyan mar ke zakhmi bhi hue log magar koi chashma nahin zarkhez zamin se nikla