be-yar shahr dil ka viran ho raha hai dikhlai de jahan tak maidan ho raha hai is manzil-e-jahan ke bashinde raftani hain har ek ke han safar ka saman ho raha hai achchha laga hai shayad aankhon mein yar apni aaina dekh kar kuchh hairan ho raha hai gul dekh kar chaman mein tujh ko khila hi ja hai yani hazar ji se qurban ho raha hai haal-e-zabun apna poshida kuchh na tha to sunta na tha ki ye said be-jaan ho raha hai zalim idhar ki sudh le jun sham-e-subh-gahi ek aadh dam ka aashiq mehman ho raha hai qurban-gah-e-mohabbat wo ja hai jis mein har su dushwar jaan dena aasan ho raha hai har shab gali mein us ki rote to rahte ho tum ek roz 'mir' sahab tufan ho raha hai