qamat-e-dil-ruba par shabab aa gaya ya sawa neze par aaftab aa gaya jagi jagi un aankhon ka aalam na puchh samne ek jam-e-sharab aa gaya ek nigah-e-mohabbat ki takhmir mein sab simat kar jahan-e-kharab aa gaya ye chale wo badhe wo jawan ho gae chand lamhon mein yaum-ul-hisab aa gaya jhum uthi ek arman-bhari zindagi jab hawaen chalin jab sahab aa gaya aaiye aaiye is taraf wo 'nushur' shaer-e-yaadgar-e-shabab aa gaya