piyun hi kyun jo bura jaanun aur chhupa ke piyun

piyun hi kyun jo bura jaanun aur chhupa ke piyun
main wo nahin ki nigahen bacha bacha ke piyun

mita diye hain sab ehsas uf re zauq-e-sharab
surur kam na ho turshi bhi gar mila ke piyun

gunah pe tohmat-e-be-lazzati na rakh zahid
maza na aae to kyun munh bana bana ke piyun

ye tishnagi-e-shahadat ka iqtiza ab hai
ki aab-e-tegh-e-sitam zahr mein bujha ke piyun

gale mein lagti hai ifraat-e-shauq se phansi
pade na halq mein phanda to dagdaga ke piyun

hai ek saghar-e-dil aur hazar-rang ki mai
na ho jo ghar mein to bazar se manga ke piyun

bharosa kar ke main apne rahim par waiz
maza to jab hai ki tujh ko jala jala ke piyun

talab se aar hai itni ki pyas gar na bujhe
jigar ke khun ko pani bana bana ke piyun

nigah-e-shauq meri ruh khinch leti hai
nahin wo rind ki saghar se munh laga ke piyun

ye shai ki jis se nigahon ko rashk dil ko surur
chhupa chhupa ke undelun dikha dikha ke piyun

gunahgar sahi chor main nahin zahid
hai ye bhi kufr ki kabe se munh phira ke piyun

na rind-e-tang-nazar 'arzu' na tanha-khor
jo zahr bhi ho mayassar to main pila ke piyun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close