bolega kaun aashiq-e-nadar ki taraf sara zamana aaj to hai yar ki taraf jin aankh se liya tha dil ab wo rahi na aankh hairat se dekhta hun rukh-e-yar ki taraf darban kabhi jo roke wo nazuk mizaj hain munh kar ke soen hum na dar-e-yar ki taraf haare hue ho boson ka kar lo abhi hisab fazil hai kuchh hamara hi sarkar ki taraf baitha hai kab se muntazir yan par nigah-e-mehr dekh aankh utha ke talib-e-didar ki taraf padti hai jabki abru-e-qatil pe meri aankh rah rah ke dekhta hai wo talwar ki taraf dagh-e-riya sharab se dhone ke waste zahid chala hai khana-e-khummar ki taraf bulbul ne ki bahaar mein kis yas se ek aah chaak-e-qafas se dekh ke gulzar ki taraf padhta hun fatiha main su-e-qabr-e-kohkan hota hai jab guzar kabhi kohsar ki taraf yun dil pe mere padti hai aankh us ki jis tarah jallad dekhta hai gunahgar ki taraf karta hai shauq-e-dil ke ewaz mol husn ka dallal bolta hai kharidar ki taraf aaina san hun aamad-e-dilbar ka hairati rukh su-e-dar hai pusht hai diwar ki taraf phulon mein ye kahan khalish-e-khar ka maza jaana junun na dasht se gulzar ki taraf barbaad kar na khak meri ai hawa-e-shauq le chal uda ke kucha-e-dil-dar ki taraf kaun ab kare hamari taraf-dari ai 'qalaq' dil tak hai apna apne dil-azar ki taraf