bebasi aur kuchh dinon tak hai aa gai chandni saron tak hai kaunsa daur aa gaya sahab sher mahdud qafiyon tak hai shams se jaane kyon mohabbat ki aap ki haisiyat diyon tak hai jab tumhein waqt ho chali aana hijr ki shab kai shabon tak hai is mohabbat ko kis tarah bhulun naqsh jis ka pada darun tak hai kyon ye khushbu jagah jagah phaili phul patti to bas tanon tak hai aap ki soch se bahut aage bas rahi zist bulbulon tak hai kaun bakhshe mujhe ‘safar’ jannat shairi aa gai labon tak hai