bechne aae koi kya dil-e-shaida le kar dam dete hi nahin aap to sauda le kar chaar din bhi to na rakkha dil-e-shaida le kar aap ne hum se bhi kam-bakht ko khoya le kar qatl ke baad nazakat se jo thak jate hain baith jate hain wo kushte ka sahaara le kar ghair ka qatl kuchh aisa to nahin hai mushkil chhod do hath koi nam hamara le kar sans ke sath jo hoti hai khatak sine mein zoaf se dard bhi uthta hai sahaara le kar aa gaya mujh ko nazar apni wafa ka anjam main ne talwar ko qatil se jo dekha le kar ab to 'bekhud' ko ye dawa hai ba-qaul-e-ustad aadmi ishq kare nam hamara le kar