main apni aankh bhi khwabon se dho nahin paya main kaise dunga zamane ko jo nahin paya shab-e-firaq thi mausam ajib tha dil ka main apne samne baitha tha ro nahin paya meri khata hai ki main khwahishon ke jangal mein koi sitara koi chand bo nahin paya hasin phulon se diwar-o-dar sajae the bas ek barg-e-dil aasa piro nahin paya chamak rahe the andhere mein soch ke jugnu main apni yaad ke kheme mein so nahin paya nahin hai harf-e-tasalli magar kahun 'sahil' nahin jo paya kahin yar to nahin paya