koi mahbub sitamgar bhi to ho sakta hai phul ke hath mein khanjar bhi to ho sakta hai ek muddat se jise log khuda kahte hain chhu ke dekho ki wo patthar bhi to ho sakta hai mujh ko aawargi-e-ishq ka ilzam na do koi is shahr mein be-ghar bhi to ho sakta hai kaise mumkin ki use jaan ke barabar samjhun wo meri jaan se badh kar bhi to ho sakta hai sirf sawan to nahin aag lagane wala june ki tarah december bhi to ho sakta hai chaak-daman se mere mujh ko bura mat samjho koi yusuf sa payambar bhi to ho sakta hai sirf chehron pe latafat koi mauquf nahin chand jaisa koi patthar bhi to ho sakta hai tum sar-e-rah mile the to kabhi phir se milo hadisa shahr mein aksar bhi to ho sakta hai sara ilzam-e-jafa us pe kahan tak rakhkhun ye mera apna muqaddar bhi to ho sakta hai kya zaruri hai ki hum sar ko jhukaen 'zakhmi' ek sajda mere andar bhi to ho sakta hai