bechte kya ho miyan aan ke bazar ke beach aur ana kahe ko rakh chhodi hai bewpar ke beach us ghadi adl ki zanjir kahan hoti hai jab kanizon ko chuna jata hai diwar ke beach shahr hota hai sitaron ke lahu se raushan tasht mein sar bhi pade hote hain darbar ke beach kabhi us rah mein phal-phul laga karte the ab lahu katte hain kabul-o-qandhaar ke beach karb ke waste maujud hai duniya-e-bahisht sach muallaq hai abhi aatish-o-gulzar ke beach rakh baithegi to phir aag rawana hogi jaane kab se jo dahakti rahi kohsar ke beach sham utarti hai to 'wajid' main yahi sochta hun aaj ka din bhi gaya yaadon ke ambar ke beach