zohra suhail shams khur badr baha tu kaun hai hosh-ruba sitamgar mah-laqa tu kaun hai bhut khabis naznin gul pari bala kahun dil-lagi achchhi ye nahin mujh se hansa tu kaun hai rag khayal gata hai raqs khushi dikhata hai dur se kyun rijhata hai pas to aa tu kaun hai band hain lab jawab mein ghir gaya main azab mein aaya jo mere khwab mein aisa bura tu kaun hai ab na payam-e-wasl de hijr ka kaun gham sahe dur ho dur ho are pas na aa tu kaun hai aaya hai kis ke jaish se bolta hai jo taish se maffil-o-bazm-e-aish se dur ho ja tu kaun hai bol na 'akhtar' ab kabhi hat thi ye ek shakhs ki tarah jo sab se ki buri ye to bata tu kaun hai