mat samajhna ki sirf tu hai yahan ek se ek khub-ru hai yahan pur hai bazar-e-husn chehron se jaane kis kis ki aabru hai yahan kaise aabaad ho ye virana wahshat-e-kizb chaar-su hai yahan aankh ki putliyon ko ghaur se dekh teri taswir hu-ba-hu hai yahan kaise tarikh likkhi jaegi sirf talwar aur gulu hai yahan tu kahan hai khabar nahin ai dost raat din teri guftugu hai yahan jhankta kaun hai gireban mein aaina kis ke ru-ba-ru hai yahan maqtal-e-arzu hai dil 'wajid' har tamanna lahu lahu hai yahan