behaal dil ka haal karun to ghazal kahun jine ka phir malal karun to ghazal kahun dil to misal-e-sang hai tutega kya bhala khasta-jigar ka haal karun to ghazal kahun ye rang chaar roza hai ranai chaar roz jo husn la-zawal karun to ghazal kahun hai lutf is miyana-rawi mein bhala kahan kuchh amr ba-kamal karun to ghazal kahun mausam na sard garm na tufan ka zor hai ab khud hi kuchh wabaal karun to ghazal kahun muddat hui habib se shikwa kiye hue ab us se kuchh sawal karun to ghazal kahun hain is jahan mein achchhe sukhnawar hazar-ha 'nikhat' ko be-misal karun to ghazal kahun