khayal andar hi andar mar gaya hai tera gham mujh ko pagal kar gaya hai khushi aankhon mein aansu khinchti hai samajh lo dil dukhon se bhar gaya hai talab us ko na hogi bhuk ki ab meri jaanib se luqma tar gaya hai tabahi mein gain diwaren ghar ki na khidki hi na koi dar gaya hai padi hai gahre dukh ki zarb dil par mukammal jis se dard-e-sar gaya hai palat aana na ho mumkin jahan se musafir us masafat par gaya hai main us ko chhod dun socha nahin hai wo aisa soch kar hi dar gaya hai wo aaega to us se baat hogi jo ab ke chhuttiyon mein ghar gaya hai