dil-e-azada-rau mein wo tamanna thi bayaban ki qadam rakhte hi shaq hone lagi diwar zindan ki khuda ki rahmaten ai mutrib-e-rangin-nawa tujh par ki har kante mein tu ne ruh dauda di gulistan ki ye sabit kar diya tujh ko bana kar dast-e-qudrat ne ki ho sakti hain itni khubiyan surat mein insan ki nasim-e-subh thandi sans bharti hai mazaron par udasi munh-andhere dekhiye gor-e-ghariban ki ye aalam kya hai ek majmua hai nachiz zarron ka ye duniya kya hai ek tarkib ajza-e-pareshan ki hawaon ke wo jhonke wo khule maidan ki sardi wo lahren chand se rukhsar par zulf-e-pareshan ki hamari zindagi kya silsila ek dil dhadakne ka hamari maut kya jumbish hai ek jazbaat-e-pinhan ki bana dengi yaqin hai 'josh' mard-e-ba-khuda ek din tapish-andoziyan sine mein barq-e-soz-e-pinhan ki