bimar-e-hijr bistar-e-gham se agar uthe aawaza-e-qubul dua-e-sahar uthe lakhon hain dad-khwah hazaron hain muddai kis tarah roz-e-hashr kisi ki nazar uthe ai yas ek ek ka lazim hai faisla dil ko bitha ke hijr mein dard-e-jigar uthe hai aasman ki wajah se gardan jhuki hui ye chhat jo ho buland to nalon ka sar uthe majbur ho raha hun main bar-e-khayal se imkan mein nahin hai ki zanu se sar uthe mumkin nahin ki ashk na aankhon se hon rawan baalin se koi mujh ko agar dekh kar uthe madd-e-nazar hua hai unhen imtihan-e-zabt tufan-e-ashk aaj na ai chashm-e-tar uthe hai ibtida se yunhi nasheb-o-faraaz-e-dahr kyon dil na baith jae jo dard-e-jigar uthe 'masud' chhed wasl ki karna zarur thi khamosh bazm-e-yar se kya soch kar uthe