but ko but aur khuda ko jo khuda kahte hain hum bhi dekhen to use dekh ke kya kahte hain jo bhale hain wo buron ko bhi bhala kahte hain na bura sunte hain achchhe na bura kahte hain bazm-e-ahbab-o-mai-e-nab visal-e-mashuq ab kisi shai mein nahin jis ko maza kahte hain main gunahgar agar ishq-e-majazi hai gunah main khatawar agar is ko khata kahte hain pahle to 'dagh' ki tarif hua karti thi ab khuda jaane wo kyon us ko bura kahte hain