bekasi ka ajib aalam hai

bekasi ka ajib aalam hai
ham-nawa hai na koi ham-dam hai

haal-e-dil apna main kahun kis se
raaz-dan hai na koi mahram hai

jism hai chur-chur zakhmon se
jis ka darman na koi marham hai

kuchh batao to majra kya hai
hont hanste hain aankh pur-nam hai

hum bhi pahunchenge apni manzil par
azm-e-rasikh hai sai-e-paiham hai

gulsitan ka maal kya hoga
baghban ka mizaj barham hai

koi samjhe agar to kya samjhe
un ki har ek baat mubham hai

zindagi kahti hai jise duniya
ya to shoala hai ya wo shabnam hai

tirgi badh rahi hai ai 'anjum'
sab charaghon ki lau jo maddham hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close