chaman mein jab bahaar aai to diwane machal uTThe

chaman mein jab bahaar aai to diwane machal utthe
hua jab zikr-e-chashm-e-mast paimane machal utthe

hawa-e-fasl-e-gul aai ghata ghanghor jab chhai
chala yun daur-e-paimana ki maikhane machal utthe

yaqinan rabt-e-baham koi husn-o-ishq mein hoga
jali jab shama mahfil mein to parwane machal utthe

pilae ja are saqi agar kuchh bhi hai mai baqi
teri dariya-dili dekhi to mastane machal uthe

kisi jaan-e-wafa ka tazkira unwan-e-mahfil hai
bahaaren jhum utthin aur afsane machal uthe

kuchh is andaz se zindan mein paigham-e-bahaar aaya
ki diwane to diwane the farzane machal utthe

chale ahl-e-junun josh-e-junun mein jab bayaban ko
kiya kanton ne istiqbaal virane machal utthe

barahman mast hota hai faqat naqus ki lai par
suni bang-e-azan tasbih ke dane machal utthe

mere ikhlas-o-jazb-e-dil ki ye tasir hai 'anjum'
yaganon ka to kya kahna hai begane machal utthe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close