betabi-e-dil shauq ka izhaar na kar de us shokh ko ulfat se khabar-dar na kar de gar ye hi farawaniyan hain dard-o-alam ki ye ishq kahin jine se bezar na kar de hai un ko shifa pursish-e-dar-parda se manzur dar hai ye mujhe aur bhi bimar na kar de wo puchhte hain hai tujhe kya mujh se mohabbat mera dil-e-nadan kahin iqrar na kar de 'arman' ko tera dekhna mud kar dam-e-rukhsat khwabida tamannaon ko bedar na kar de