wafa-paraston ke munh se zaban khinchta hai zara zara pe sitamgar kaman khinchta hai main chhod kar chala aaya hun shahr mein jis ko mujhe wo ganw ka kachcha makan khinchta hai ye aur baat wahi fasla hai sadiyon se zamin ko apni taraf aasman khinchta hai meri nazar mein bahadur wahi sipahi hai khilaf-e-zulm jo apni kaman khinchta hai tamasha dekh ke mehman hai ye hairat mein jo mal tar hai use mezban khinchta hai kabhi kabhi teri furqat mein lagta hai aisa badan se jaise koi meri jaan khinchta hai adab ki ilm ki baaten use pasand nahin 'kamal' kis liye duniya ka dhyan khinchta hai