bewafa aise to hargiz na the pahle hum log ek hi shahr mein rah kar nahin milte hum log jis tarah jina tha aise hi jo jite hum log jis tarah marte hain aise nahin marte hum log khidmat-e-khalq mein jis shakhs ki guzri hai hayat aise insan ki ayaadat ko na pahunche hum log amn ka qafila karta raha minnat phir bhi chand lamhon ko bhi khamosh na baithe hum log itna ehsan jatate hain ki mar jata hai kaam aa jaen jo duniya mein kisi ke hum log tod deti hai zara-bhar mein charaghon ka ghurur ai hawa dekh chuke hain tere jalwe hum log