jage ki koi soe hum farz nibha aae hum raat ki galiyon main aawaz laga aae malum nahin hum ko phulon mein chhupa kya hai baaton se to zalim ki khushbu-e-wafa aae zakhmo pe koi marham rakkhe ya namak chhidke hum dard ka afsana duniya ko suna aae uthti chali jati hai diwar gunahon ki kah do ye samundar se sahil pe chala aae andaz-e-nazar us ka pagal na kahin kar de jab us ki taraf dekhun aankhon mein nasha aae yaadon ke darichon se bachpan ki gali jhonke 'rahi' mere aangan mein mamta ki hawa aae