khwab-o-khayal ho gae yarane kis tarah pal-bhar mein log ban gae anjaane kis tarah kyun kar khulus-o-shauq mein badlengi nafraten ye fasle mitenge khuda-jaane kis tarah bolo zaban se tum na koi guftugu karo dil ka tumhaare haal koi jaane kis tarah main kiya ki ek chehra hun jamm-e-ghafir mein wo mujh ko is hujum mein pahchane kis tarah majnun to ek nam tha gard-o-ghubar ka dil mein basa liya use laila ne kis tarah khud apne hi wajud se wahshat-zada hain log aabaadiyon mein aa gae virane kis tarah iqbaal tum ne jo bhi kaha sach kaha magar sach baat bhi tumhaari koi mane kis tarah