kal zindagi ke khwab ki tabir mil gai thi jis ki mujh ko justuju wo hir mil gai apni dua pe tha mujhe kuchh is qadar yaqin mangi khuda se jo wahi jagir mil gai jo log be-waqar se phirte the shahr mein mere sabab se un ko bhi tauqir mil gai barsen wafa ke chand ki kirnen kuchh is tarah be-nur aanganon ko bhi tanwir mil gai qirtas-e-zindagani pe dekha jo ghaur se tujh jaisi hu-ba-hu koi taswir mil gai hathon ki ulti sidhi lakiron ko dekh kar wo shokh kah raha tha ki tahrir mil gai