chalae tir hain kitne jawab deta ja hamare zakhmon ka kuchh to hisab deta ja jo aa gaya hai to ab dil ki tazgi ke liye lahu mein dube hue kuchh gulab deta ja mujhe yaqin hai dariya main dhundh hi lunga tu meri tishna-labi ko sarab deta ja na dekh mere aziyyat-nawaz lamhon ko mere nasib ka mujh ko azab deta ja jo tu hai saqi-e-mahfil to rind hum bhi hain hamare hisse ki hum ko sharab deta ja 'umar' batana hai naslon ko zillaton ka sabab tu apni bazm ke chang-o-rabab deta ja