bewafai se wafaon ka sila mat dena bad-dua dene se achchha hai dua mat dena tohmaten aap ke daman se lipat sakti hain aag jab sulgi hui ho to hawa mat dena gul khila sakta hai aawara-khayali ka safar zehn-e-hassas ko khushbu ka pata mat dena jin se mansub hai tarikh rawadari ki aandhiyo aise darakhton ko gira mat dena jo makan lams-shanasi ka hunar jaante hain un ko dastak ki zarurat hai sada mat dena mujh ko sadat ki nisbat ke sabab mere khuda aajizi dena takabbur ki ada mat dena