waqt ne ek nazar jo dali hai phul ki tazgi chura li hai aaj bhi us ne sham se pahle dhup diwar se utha li hai ab hawa chikhti phire shab bhar shahr to sham hi se khali hai maut bhi is liye nahin aati zindagi zindagi se khali hai hai mulaqat us se khwabon mein aur ye taswir bhi khayali hai ham-safar bhi naya bana lenge rahguzar jab nai bana li hai aaina gard se ata hai 'nawed' aur be-chehragi misali hai