kuchh taghaful hai to kuchh naz-o-ada-kari hai qahr ka qahr hai dildari ki dildari hai iltifat-e-nigah-e-naz se bach kar rahna jazba-e-ishq tere qatl ki tayyari hai shafqaten zinda hain ikhlas ki buniyaadon par ab bhi kuchh logon mein pahle si rawadari hai yahi tahzib to wirse mein mili hai mujh ko tum ana samjhe ho jis ko meri khuddari hai silsila khatm hijabaat ka hota hi nahin aaina dekhne wale ko bhi dushwari hai aaj ki raat hai tufan ke aane ki khabar aaj ki raat charaghon pe bahut bhaari hai log khush-fahm hain ya khwab-gazida 'alam' jagte rahne ko samjhe hain ki bedari hai