bezar phir na honge kabhi zindagi se hum ho len tere qarib jo khush-qismati se hum ai kash hum bhi hote kabhi itne khush-nasib gham bantte kisi ka to hanste kisi se hum tum ne bula liya to chale aae bazm mein kab chahte the qurb-e-harifan khushi se hum anjam-e-tur aaj bhi apni nazar mein hai ghash kha na jaen aap ki jalwagari se hum ji chahta hai raaz-e-dil-e-gil to kuchh khule bulbul ki baat puchh len ja kar kali se hum naz-o-niyaz ishwa-o-ghammaziyan na sikh ai husn kah rahe hain dil-e-ashiqi se hum 'shadan' ki hai sada ki palat aae inqalab aajiz nahin hain aaj bhi farman-dahi se hum