jaan apni chali jae he jae se kasu ki aur jaan mein jaan aae hai aae se kasu ki wo aag lagi pan chabae se kasu ki ab tak nahin bujhti hai bujhae se kasu ki bujhne de zara aatish-e-dil aur na bhadka mehndi na laga yar lagae se kasu ki kya soiye phir ghul hai dar-e-yar pe shayad chaunka hai wo zanjir hilae se kasu ki kah do na uthae wo mujhe pas se apni ji baitha hi jata hai uthae se kasu ki jab main ne kaha aaiye man jaiye bole hum aur bhi ruthenge manae se kasu ki chuppi mein jo kuchh baat ki main ne to ye bole hum to nahin dabne ke dabae se kasu ki yaro na charagh aur na main shama hun lekin har sham ko jalta hun jalae se kasu ki pata nahin ghar us ka samajhta hi nahin hai is bait ke mani bhi batae se kasu ki jab us se kaha meri sifarish mein kasu ne hasil bhi rulae se kudhae se kasu ki ek tan se ye hans ke laga kahne ki be-shak hum rolte moti hain rulae se kasu ki kahta hai ki 'ehsan' na kahega to sunega matla ye kaha main ne kahae se kasu ki