chaaragar chup hain kyun ilaj karen kuchh to apne kiye ki laj kar un se kis ne kaha tha wo mujh ko fard-e-hasti mein indiraj karen roz khatka sa dil mein rahta hai dekhiye kya wo hukm aaj karen fursat-e-zist kam hi kaam bahut kal jo karna hai hum ko aaj karen chaaragar bhi na kya karenge yaad kar saken jis qadar ilaj karen sab usi ki si kah rahe hain 'aziz' kis se hum arz-e-ehtiyaj karen