bhade ka ek makan hun mujh ko khabar nahin hai apna hi mehman hun mujh ko khabar nahin hai koi batae mujh ko zinda hun mar chuka hun gar hun to main kahan hun mujh ko khabar nahin hai kuchh bhi nahin bacha hai bas dur tak khala hai kya main hi aasman hun mujh ko khabar nahin hai tum mere darmiyan ho mujh ko pata hai lekin main kis ke darmiyan hun mujh ko khabar nahin hai kuchh sau arab sitare mujh mein hain dafn yani main ek kahkashan hun mujh ko khabar nahin hai apne hi zehn-o-dil par chhaya hua hun kab se baadal hun ya dhuan hun mujh ko khabar nahin hai koi khayal hun main ya phir sawal hun main main kaun sa saman hun mujh ko khabar nahin hai kirdar mar chuke hain lekin main ji raha hun main kaisi dastan hun mujh ko khabar nahin hai