bhala hoga kuchh ek ahwal us se ya bura hoga

bhala hoga kuchh ek ahwal us se ya bura hoga
maal apna tere gham mein khuda jaane ki kya hoga

tafahhus faeda naseh tadaruk tujh se kya hoga
wahi pawega mera dard-e-dil jis ka laga hoga

kaso ko shauq yarab besh us se aur kya hoga
qalam hath aa gai hogi to sau sau khat likha hoga

dukanen husn ki aage tere takhta hui hongi
jo tu bazar mein hoga to yusuf kab bika hoga

maishat hum faqiron ki si ikhwan-e-zaman se kar
koi gali bhi de to kah bhala bhai bhala hoga

khayal us bewafa ka ham-nashin itna nahin achchha
guman rakhte the hum bhi ye ki hum se aashna hoga

qayamat kar ke ab tabir jis ko karti hai khilqat
wo us kuche mein ek aashob sa shayad hua hoga

ajab kya hai halak ishq mein farhad-o-majnun ke
mohabbat rog hai koi ki kam us se jiya hoga

na ho kyun ghairat-e-gul-zar wo kucha khuda jaane
lahu is khak par kin kin azizon ka gira hoga

bahut ham-sae is gulshan ke zanjiri raha hun main
kabhu tum ne bhi mera shor nalon ka suna hoga

nahin juz arsh jaga rah mein lene ko dam us ke
qafas se tan ke murgh-e-ruh mera jab raha hoga

kahin hain 'mir' ko mara gaya shab us ke kuche mein
kahin wahshat mein shayad baithe baithe uth gaya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close