qurbat badha badha kar be-khud bana rahe hain main dur hat raha hun wo pas aa rahe hain eajaz-e-pak-bazi hairat mein la rahe hain dil mil gaya hai dil se pahlu juda rahe hain wo dil se gham bhula kar dil ko lubha rahe hain guzre hue zamane phir phir ke aa rahe hain sine mein zabt-e-gham se chhaala ubhar raha hai shoale ko band kar ke pani bana rahe hain mani na puchh zalim is uzr-e-be-gunah ke apne ko awwal de kar tujh ko bacha rahe hain ai be-khudi kahan hai jaldi meri khabar le bhule the jo ba-mushkil phir yaad aa rahe hain len kaam zabt se kya ulta hai dil ka phoda utna ubhar raha hai jitna daba rahe hain furqat mein saz-e-rahat saman azab ka hai thandi hawa ke jhonke kya ji jala rahe hain hain husn ke karishme kya inqalab-agin gham-khwar jo the kal tak ab khar kha rahe hain khud in ki justuju mein hum dur bhage warna wo kab alag rahe hain wo kab juda rahe hain le le ke thandi sansen puchho na haal dekho tum bhed kholte ho aur hum chhupa rahe hain dekh 'arzu' ye rona shana hila hila kar tu aaj khwab mein hai aur wo jaga rahe hain