bhala kahan kise mumkin hai ye ada har bar charagh rakhta hai lau par dam-e-hawa har bar tu apne hathon ki thandak se kar mujhe manus tu meri aankhon pe rakh shola-e-hina har bar kabhi to mere lahu ke nishan banenge phul main gham ke dasht se guzra barhana-pa har bar ye meri zat se nisbat hui hai ab kis ko main khud ko dekhta hun kyun juda juda har bar kabhi to chamkega dil ras aaegi duniya jahan se guzra hun ye sochta hua har bar bacha ke rakkhe salamat na koi jaan apni sunai deti hai bas ek yahi sada har bar wo 'tur' kyun meri baaton pe ghussa karta hai akharta kyun hai use mera puchhna har bar