wo hamari samt apna rukh badalta kyun nahin raat to guzri magar suraj nikalta kyun nahin thik uthte hain qadam bhi rah bhi hamwar hai bojh apni zindagi ka phir sambhalta kyun nahin jis tarah wo chahta hai dhaal leta hai hamein wo hamare dil ke paimane mein dhalta kyun nahin kya mohabbat mein kabhi hoti hai aisi kaifiyat wo qarib-e-jaan hai lekin dil bahalta kyun nahin aadmi ke dil ka jauhar yun to iman hai magar aaj-kal bazar mein sikka ye chalta kyun nahin jaane kaisi hain ye zanjiren hamare panw mein garmi-e-raftar se loha pighalta kyun nahin is maal-e-shauq par sab hath malte hain magar tu kabhi 'afsar' kaf-e-afsos malta kyun nahin