bhala ye kaun hai mere hi andar mujh se ranjish mein wo mujh ko hi ganwa baitha na jaane kis ki khwahish mein samundar ek thahra sa abhi tak hai tere andar nadi ban kar mera bahna tujhe milne ki koshish mein dariche par khade ho kar tujhe bas sochte rahna bahut se kaam baqi hai bahut thodi si barish mein mera wo ruth kar rona tera hans ke chale jaana main tujh ko bhul na jaun tujhe pane ki sazish mein kahin wo chir kar tera hi sina bhag na nikle use aazad kar do ab jo barson se hai bandish mein