ye kis ne kah diya aakhir ki chhup-chhupa ke piyo ye mai hai mai use auron ko bhi pila ke piyo gham-e-jahan ko gham-e-zist ko bhula ke piyo hasin git mohabbat ke gunguna ke piyo chhute na daman-e-taat bhi waqt-e-mai-noshi piyo to sajda-e-ulfat mein sar jhuka ke piyo bujhe bujhe se hon arman to kya farogh-e-nashat jo so gae hain sitare unhen jaga ke piyo gham-e-hayat ka darman hain ishq ke aansu andheri raat hai yaro diye jala ke piyo nasib hogi bahar-kaif marzi-e-saqi mile jo zahr bhi yaro to muskura ke piyo mere khulus pe shaikh-e-haram bhi kah uttha jo pi rahe ho to 'darshan' haram mein aa ke piyo