dard auron ka dil mein gar rakhiye be-gharaz ho ke umr-bhar rakhiye ho hi jaengi mushkilen aasan aql sa ek rahbar rakhiye panw thahren khayal chalte rahen ek aisa bhi to safar rakhiye us ke dam se hai aabru ka wajud apne kirdar par nazar rakhiye ho ishaara ki bah sake na hawa aankh mein itna to asar rakhiye dosti mein hai shart ye 'darwesh' zikr main tu ka taq par rakhiye