bhale hi mera hausla past hota

bhale hi mera hausla past hota
muqabil to koi zabardast hota

guzara to pahle bhi karta hi tha main
maza jab tha bilkul tahi-dast hota

teri dast-giri kahan aur kahan main
tera aasra hi sar-e-dast hota

main phuta tha jis shakh par ban ke konpal
usi shakh mein kash paiwast hota

gilass ek tha pine wale kai the
to kya muntaqil dast-dar-dast hota

kahin hum ko be-dakhl kar de na koi
nahin hum se ghar ka dar-o-bast hota

tumhi ho jo lae ho mujh ko yahan tak
na tum nich hote na main past hota

kaha tu ne mana na afsos apna!
bulandi pe 'rashid' ba-yak-jast hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close