gham-e-hayat lab-e-shoala-bar tak pahuncha hamara zehn had-e-eatibar tak pahuncha fusun ye kis ki nazar ka bahaar tak pahuncha sukut-e-lala-o-gul intishaar tak pahuncha bhatak raha tha junun rahguzar hasti mein na jaane kab ye kham-e-zulf-e-yar tak pahuncha sab ahl-e-bazm mere husn-e-sher tak pahunche magar na koi dil-e-sogwar tak pahunche ye kis ne chhed diya saz-e-arzu-e-visal ye aaj kaun is ujde dayar tak pahuncha