main apne kaam agar waqt par nahin karta to kaamyabi ka parwat bhi sar nahin karta hasin khwab agar dil mein ghar nahin karta tawil raat se main dar-guzar nahin karta sikha diya hai mujhe gham ne zindagi ka hunar kisi bhi haal mein ab aankh tar nahin karta gire zamin pe dastar sar ke jhukne se main hukmaran ko salam is qadar nahin karta main apne azm ki patwar sath rakhta hun mere safine pe tufan asar nahin karta ghurur sath mein chalta hai har ghadi us ke wo ab amir hai tanha safar nahin karta diya umid ka tu har ghadi jalae rakh har ek raat ki kya rab sahar nahin karta ajab jawab tha un ka 'dinesh' sochenge suna tha ishq koi soch kar nahin karta