sochta hun raat jo suraj tha daen hath mein subh kaise dhal gaya wo mere baen hath mein hum agar kuchh aur apne zehn-o-dil raushan karen dosto ye mah-o-anjum jagmagaen hath mein hal na ho paya agar qaht-e-zamin ka masala ye bhi mumkin hai ki hum faslen ugaen hath mein dasht-e-chashm-o-qalb mein bhi jo nazar aata nahin aao hum tum ko wahi manzar dikhaen hath mein jab hisar-e-khauf se aazad ho jata hai dil qaid ho jati hain tab sari balaen hath mein jab meri sanson se ye mahaul yakh-basta hua munjamid hone lagin jalti hawaen hath mein shaeri ki ye shab-e-tarik dhalti hi nahin 'kaif' kab tak hum charagh-e-fan jalaen hath mein