bhar din shabab ne ye un aankhon mein shokhiyan til bhar bhi ab jagah nahin un mein haya ki hai phenk aae us ko ja ke wo ku-e-raqib mein mitti kharab mere dil-e-mubtala ki hai deta hun dil khushi se meri jaan chhodiye is ko na lijiye ye amanat khuda ki hai tauba na munh lagaegi rindon ko dukht-e-raz qalib mein us ke ruh kisi parsa ki hai tere hinai hath tak un ko hai dastaras ai rashk-e-gul chaman mein ye qismat hina ki hai lakhon shahid-e-naz gae hain jahan se mulk-e-adam mein dhum tumhaari jafa ki hai choti ke sher tu ne kahe is zamin mein sach hai 'wasim' teri tabiat bala ki hai