jab ki nazar talash fareb-e-nazar mila dad-e-hunar ke nam pe zakhm-e-hunar mila khud apne sar pe apni saliben utha chalo aawargan-e-shahr ko kar-e-digar mila inam qad ki nash-o-numa se mukar gaya dastar to mili hai magar kis ko sar mila tum mil sake na tark-e-talluq ke baad phir yaadon ka ek hujum mujhe umr bhar mila mere dil-e-tabah ne sau sau jatan kiye jo nuskha-wafa bhi mila be-asar mila tum jis qadar ghurur se nashsha-ba-sar mile han itne hi khulus se main sar-ba-sar mila